اردو हिंदी
Andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha | Shaahi Shayari
andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha

Ghazal

Andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha

Ahmad Nadeem Qasmi

;

andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha
dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha

is husn-e-ittifaq pe luT kar bhi shad hun
teri raza jo thi wo taqaza wafa ka tha

dil rakh ho chuka to chamak aur baDh gai
ye teri yaad thi ki amal kimiya ka tha

is rishta-e-latif ke asrar kya khulen
tu samne tha aur tasawwur KHuda ka tha

chhup chhup ke roun aur sar-e-anjuman hansun
mujh ko ye mashwara mere dard-ashna ka tha

uTTha ajab tazad se insan ka KHamir
aadi fana ka tha to pujari baqa ka tha

TuTa to kitne aaina-KHanon pe zad paDi
aTka hua gale mein jo patthar sada ka tha

hairan hun ki war se kaise bacha 'nadim'
wo shaKHs to gharib o ghayur intiha ka tha