andaz-e-suKHan maslahat-amez bahut hai
phir bhi ye ada teri dil-awez bahut hai
aashufta-mizaji pe meri tanz na kije
andaz-e-jahan bhi to junun-KHez bahut hai
hum se wo mila hai to khule dil se mila hai
duniya ko shikayat hai kam-amez bahut hai
hum us se juda ho ke bhi yun jhum rahe hain
jaise ki ye lamha bhi tarab-KHez bahut hai
ek bar bhi tharrai na lau sham-e-wafa ki
sunte the zamane ki hawa tez bahut hai
tum abr-e-karam ban ke zara aa ke to dekho
KHak-e-dil-e-barbaad bhi zarKHez bahut hai
kuchh aur shikayat to nahin teri nazar se
ye baat alag hai ki zara tez bahut hai
ab dekhiye kis rang mein ye sham Dhalegi
kuchh gardish-e-haalat ki lai tez bahut hai
Ghazal
Andaz-e-suKHan maslahat-amez bahut hai
Moghisuddin Fareedi