اردو हिंदी
Andaz-e-fikr ahl-e-jahan ka juda raha | Shaahi Shayari
andaz-e-fikr ahl-e-jahan ka juda raha

Ghazal

Andaz-e-fikr ahl-e-jahan ka juda raha

Ghani Ejaz

;

andaz-e-fikr ahl-e-jahan ka juda raha
wo mujh se KHush rahe to zamana KHafa raha

aalam hayat ka na kabhi ek sa raha
duniya mein zindagi ka tamasha bana raha

tha har qadam pe apne azaem ka imtihan
har gam hadsat ka mahshar bapa raha

phulon ki ahd gul mein tijarat to KHub ki
puchhe koi ki daman-e-gulchin mein kya raha

bar-e-garan tha mere liye arsa-e-hayat
jine ka tere gham se bahut hausla raha

har fikr har amal ka hai niyyat pe inhisar
shaiKH-e-haram bhi banda-e-hirs-o-hawa raha

duniya amal ki rah mein aage nikal gai
zahid to KHanqah mein mahw-e-dua raha

hum lakh muskurae tabassum ki oT se
soz-e-gham-e-hayat magar jhankta raha

'ejaz' ahl-e-jaur se nafrat rahi unhen
har zulm un ki bazm mein lekin rawa raha