اردو हिंदी
Ana zada tha kahin par kahin par aan-zada | Shaahi Shayari
ana zada tha kahin par kahin par aan-zada

Ghazal

Ana zada tha kahin par kahin par aan-zada

Kaleem Haider Sharar

;

ana zada tha kahin par kahin par aan-zada
zamin ki zad se nikalne tak aasaman-zada

yahan pe dasht o samundar ki baat mat karna
hamare shahr ka har shaKHs hai makan-zada

KHayal-o-KHwab ke mausam badalne wale hain
hujum wahm-o-tasawwur mein hai guman-zada

to baal-o-par ki numaish pe harf aa jata
hawa ka ruKH na palaTta agar uDan zada

hamare baad hamein DhunDne ke sab raste
hamari KHak mein mil jaenge nishan-zada

bhanwar se Dub ke ubhra to ye khula mujh par
samundari thin hawaen main baadban-zada

sab apna harf-e-maani bana rahe hain 'sharar'
ye lafz lafz to sadiyon se hain zaban-zada