ana ne TuT ke kuchh faisla kiya hi nahin
bayan apna kabhi muddaa kiya hi nahin
har ek shaKHs ko insan hi rakha hum ne
ki aadmi ko nazar mein KHuda kiya hi nahin
bas ek bar hi toDa jahan ne ahd-e-wafa
kisi se hum ne phir ahd-e-wafa kiya hi nahin
kai dishaon se guzra hai karwan-e-hayat
Thahar ke dil ko kahin mubtala kiya hi nahin
pahaD zulm-o-sitam ke hansi mein kaT diye
ada-e-naz ki koi gila kiya hi nahin
chhua jise bhi wahi lafz ban gaya tariKH
ki be-asar koi jumla ada kiya hi nahin
tamam umr sanwara ghazal ki duniya ko
ki 'ashk' hum ne kuchh is ke siwa kiya hi nahin
Ghazal
Ana ne TuT ke kuchh faisla kiya hi nahin
Ibrahim Ashk