ana ko KHud par sawar main ne nahin kiya tha 
tumhaare pichhe se war main ne nahin kiya tha 
wo KHud gira tha lahu-faroshi ki pastiyon mein 
use nahif o nazar main ne nahin kiya tha 
pake hue phal hi toDe the main ne Tahniyon se 
shajar ko be-barg-o-bar main ne nahin kiya tha 
nishana bandha tha aashiyanon ki samt lekin 
koi parinda shikar main ne nahin kiya tha 
kuchh is qadar the hawas gum-sum ki waqt-e-hijrat 
bilakte bachchon ko pyar main ne nahin kiya tha 
mere masail to KHud-ba-KHud hi sulajh gae the 
kahin bhi soch-o-bichaar main ne nahin kiya tha
        Ghazal
Ana ko KHud par sawar maine nahin kya tha
Rafiq Sandelvi

