اردو हिंदी
Ana ko bandhta rahta hun apne sheron mein | Shaahi Shayari
ana ko bandhta rahta hun apne sheron mein

Ghazal

Ana ko bandhta rahta hun apne sheron mein

Aftab Hussain

;

ana ko bandhta rahta hun apne sheron mein
bala ko bandhta rahta hun apne sheron mein

ghuTan ke din hon ki jhagDe se chalte rahte hon
hawa ko bandhta rahta hun apne sheron mein

mahakti rahti hai lafzon mein koi KHushbu si
saba ko bandhta rahta hun apne sheron mein

wo haal hai ki KHamoshi kalam karti hai
sada ko bandhta rahta hun apne sheron mein

wo hath jaise kahin ab bhi dil pe rakkha ho
hina ko bandhta rahta hun apne sheron mein

giraft mein hun kisi but ki 'aftab-husain'
KHuda ko bandhta rahta hun apne sheron mein