ana ki qaid se nikle muqabla to kare
wo mera sath nibhane ka hausla to kare
kabhi na TuTne wala hisar ban jaun
wo meri zat mein rahne ka faisla to kare
use main saunp dun apni ye muntazir aankhen
wo meri khoj mein jaane ka tazkira to kare
zamane bhar ko main apni giraft mein le lun
mera nasib mujhe tujh se mawara to kare
main us ko kho ke adhura wo mujh ko pa ke udas
hamare karb ka koi muazna to kare

Ghazal
Ana ki qaid se nikle muqabla to kare
Najmus Saqib