an-kahi ko kahi banana hai
e'tibar-e-suKHan baDhana hai
mere andar ka panchwan mausam
kis ne dekha hai kis ne jaana hai
DugDugi hi nahin bajaani mujhe
ishq ko nach bhi sikhana hai
tum jo itna uTha rahe ho mujhe
kis kuen mein mujhe girana hai
raat ko roz Dub jata hai
chand ko tairna sikhana hai
hijr mein nind kyun nahin aati
hijr ka zaicha banana hai
main wo bosida qabr hun 'bedil'
dafn jis mein mera zamana hai
Ghazal
An-kahi ko kahi banana hai
Bedil Haidri