an-ginat shadab jismon ki jawani pi gaya
wo samundar kitne dariyaon ka pani pi gaya
narm subhen pi gaya shamen suhani pi gaya
hijr ka mausam dilon ki shadmani pi gaya
mere armanon ki faslen is liye pyasi rahin
ek zalim tha jo kul basti ka pani pi gaya
le gae tum chhin kar alfaz ka amrit-kalas
main wo shiwshankar tha jo zahr-e-maani pi gaya
ek tawajjoh ki nazar shikwe gile sab kha gai
ek tabassum umr bhar ki bad-gumani pi gaya
agle waqton ki murawwat rah gai ban kar sarab
waqt ka sahra sabhi qadren purani pi gaya
zahr Dala tha ki amrit tu ne mere jam mein
kuchh bhi ho main ne teri talqin-e-mani pi gaya
ja ke wo barsa na-jaane kis samundar par 'shabab'
aah jo baadal meri jhilon ka pani pi gaya
Ghazal
An-ginat shadab jismon ki jawani pi gaya
Shabab Lalit