اردو हिंदी
An-ginat azab hain ratjagon ke darmiyan | Shaahi Shayari
an-ginat azab hain ratjagon ke darmiyan

Ghazal

An-ginat azab hain ratjagon ke darmiyan

Ateequrrahman Safi

;

an-ginat azab hain ratjagon ke darmiyan
dard be-hisab hain ratjagon ke darmiyan

ban chuka hai dil sawal ab kisi ke hijr mein
is pe la-jawab hain ratjagon ke darmiyan

ashk rok rok ab shal hue hain hausle
har samay itab hain ratjagon ke darmiyan

kash wo mile kahin to bataun main use
kis qadar sarab hain ratjagon ke darmiyan

sau charagh jal bujhe tirgi na kam hui
mustaqil hijab hain ratjagon ke darmiyan

kya bataun haal main us ko apne dard ka
wahshaton ke bab hain ratjagon ke darmiyan

wo jinhen KHabar nahin qalb-e-na-subur ki
chaar-su janab hain ratjagon ke darmiyan

ek gham chala gaya dusre ne aa liya
silsile shitab hain ratjagon ke darmiyan

rakh-rakhaw mein sada rah ke aaj tak yahan
haalaten KHarab hain ratjagon ke darmiyan

zindagi ki dauD mein pichhli rut ke KHwab sab
ab bhi ham-rikab hain ratjagon ke darmiyan

aaj ye khula 'safi' jaan ke aur gham kai
shamil-e-nisab hain ratjagon ke darmiyan