amrad hue hain tere KHaridar chaar panch
de aise aur haq mujhe aghyar chaar panch
jab gudgudate hain tujhe hum aur Dhab se tab
sahte hain galiyan teri na-chaar chaar panch
kal yun kaha ki Tuk tu Thahar le to bole aap
hain muntazir mere sar-e-bazar chaar panch
o jaane wale shaKHs Tuk ek muD ke dekh le
yan bhi taDap rahe hain gunahgar chaar panch
sayyaad le KHabar ki diya chahte hain jaan
kunj-e-qafas mein taza giraftar chaar panch
myan hum bhi koi qahr hain jab dekho tab liye
baiThe hain apne pas trahdar chaar panch
chupke se tum jo kahte ho hain apne aashna
shoala bhabhuke aur dhuan-dhaar chaar panch
har ek un se shoKH hai kya KHub baat ho
lag jaen tere hath jo yak-bar chaar panch
tu un ko chah chhoD mujhe wachhaDe che-KHush
rakkhe hain mere waste dildar chaar panch
hai kaam ek hi se wo chulhe mein sab paDen
sadqe kiye the aise wo finnar chaar panch
sahib tumhin tumhin nahin hargiz nahin nahin
mujh ko nahin nahin nahin darkar chaar panch
'mir' o 'qatil' o 'mushafi' o 'jurat' o 'makin'
hain shaeron mein ye jo numudar chaar panch
so KHub jaante hain ki har ek rang ke
'insha' ki har ghazal mein hain ashaar chaar panch
Ghazal
Amrad hue hain tere KHaridar chaar panch
Insha Allah Khan u0027Inshau0027