amn ki pothi juzdanon mein hathon mein hathiyar
gandhi ke is des mein sasta KHun hai mahnga pyar
pure chand se wyakul sajni jage sari raat
is barkha mat jaiho sajan sat samundar par
sans ki boli dil ki zaban aur aankhon ki guftar
jo in ko na bujh sake wo kya samjhega pyar
qad ki hamare paimaish kya badal gae mizan
milne lage hain bazaron mein ohde aur dastar
bughz adawat dhoke-bazi nafrat ka bazar
log ajaib-ghar mein rakh aae hain sachcha pyar
lab ruKHsar nigahen tewar hon jin ke hathiyar
un ko kab darkar hai KHanjar neze aur talwar
Ghazal
Amn ki pothi juzdanon mein hathon mein hathiyar
Khwaja Sajid