اردو हिंदी
Amiron ke bure atwar ko jo Thik samjhe hai | Shaahi Shayari
amiron ke bure atwar ko jo Thik samjhe hai

Ghazal

Amiron ke bure atwar ko jo Thik samjhe hai

Zameer Atraulvi

;

amiron ke bure atwar ko jo Thik samjhe hai
meri haq baat ko wo qabil-e-tashkik samjhe hai

bahut mushkil hai jo us ki gharibi dur ho jae
ajab KHuddar hai imdad ko bhi bhik samjhe hai

mere bare mein us ke kan bharta hai koi shayad
bayan tausif karta hun to wo tazhik samjhe hai

tere KHat teri taswiren shikasta-dil ke kuchh TukDe
tera diwana in sab ko teri tamlik samjhe hai

main us ke har guman ka pas akasr rakkha karta hun
mera dil apne dil ke wo bahut nazdik samjhe hai

chale hai is tarah jaise chale talwar par koi
wo meri rahguzar ko jaane kyun barik samjhe hai

siyasat ke andheron ne ujale sab nigal Dale
gharib insan din ko bhi shab-e-tarik samjhe hai