اردو हिंदी
Amir-e-shahr ki chaukhaT pe ja ke lauT aaya | Shaahi Shayari
amir-e-shahr ki chaukhaT pe ja ke lauT aaya

Ghazal

Amir-e-shahr ki chaukhaT pe ja ke lauT aaya

Ahmad Kamal Hashmi

;

amir-e-shahr ki chaukhaT pe ja ke lauT aaya
gharib-e-waqt anguTha dikha ke lauT aaya

laga raha tha main baDh chaDh ke boliyan lekin
KHarida kuchh nahin qimat baDha ke lauT aaya

kasar rahi-sahi kar dengi aandhiyan puri
main us daraKHt ko jaD se hila ke lauT aaya

main chand chhune ki KHwahish mein ghar se nikla tha
aur apni palkon pe tare saja ke lauT aaya

bujha diya tha jise sar-phiri hawaon ne
main us charagh ko phir se jala ke lauT aaya

wo ibtida-e-safar mein hi khul gaya mujh par
main us ke sath zara dur ja ke lauT aaya

'kamal' us ne mere dil ka haal puchha tha
main us ko 'mir' ki ghazlen suna ke lauT aaya