amir-e-shahr ke aangan mein jab ujale hue
na jaane kitne gharon ke charagh kale hue
isi zamin ke KHuda qabr-gah mein apni
hain apni jism ki miTTi pe KHak Dale hue
tumhaari fikr ki kotah-qad haweli mein
bujhe charagh to phir makDiyon ke jale hue
muKHalifin ka ab shaghl ho gaya hai yahi
uchhaalte hain ye jumle mere uchhaale hue
ajib baat hai KHud meri aastin ke sanp
mujhi ko ghurte rahte hain sar nikale hue
hamare shahr mein lafzon ki khetiyan hain bahut
qadim log hain sare lughat khangale hue
ye ahl-e-fan mein bhi kiDe nikal dete hain
hasad ka tauq jo hain gardanon mein Dale hue
Ghazal
Amir-e-shahr ke aangan mein jab ujale hue
Sanjay Mishra Shauq