amir-e-shahr is ek baat se KHafa hai bahut
ki shahar bhar mein sag-e-dard chiKHta hai bahut
har ek zaKHm se zaKHmon ki konplen phuTin
jo bagh tum ne lagaya tha ab hara hai bahut
zara si narm-rawi se pahunch gae dil tak
tanaw tha to samajhte the fasla hai bahut
jo dam ghuTe to shikayat na kijiye sahab
ki sans lene ko zahron bhari hawa hai bahut
charagh lakhon hon raushan nazar nahin aate
yahan to chehra-paraston ko ek diya hai bahut
ye tai hai mujh se kabhi tark haq nahin hoga
ki meri KHak mein ye kimiya mila hai bahut
mumasalat ke hawalon mein mat talash karo
umumiyat se hamari ghazal juda hai bahut
Ghazal
Amir-e-shahr is ek baat se KHafa hai bahut
Zafar Sahbai