اردو हिंदी
Amiq chheD ghazal gham ki intiha kab hai | Shaahi Shayari
amiq chheD ghazal gham ki intiha kab hai

Ghazal

Amiq chheD ghazal gham ki intiha kab hai

Ameeq Hanafi

;

'amiq' chheD ghazal gham ki intiha kab hai
ye malwe ki junun-KHez chaudhwin shab hai

mujhe shikayat-e-talKHi-e-zahar-e-gham kab hai
mere labon pe abhi kaif-e-shakkr-e-lab hai

lakir khinchti chali ja rahi hai ta-ba-jigar
farogh-e-mai hai ki mashq-e-jarahat-e-shab hai

ye mahwiyat hai ki roab-e-jamal hai tari
KHilaf-e-rasm-e-junun dil bahut muaddab hai

kabhi haram mein hai kafir to dair mein momin
na jaane kya dil-e-diwana tera mazhab hai

bahut muhaal tha warna ki dil fareb mein aae
kisi ke gham se gham-e-kaenat ki chhab hai

chaman mein phul khilati phire bahaar to kya
kisi ke band-e-qaba TuTne lagen tab hai