اردو हिंदी
Amal sen mai-paraston ke tujhe kya kaam ai waiz | Shaahi Shayari
amal sen mai-paraston ke tujhe kya kaam ai waiz

Ghazal

Amal sen mai-paraston ke tujhe kya kaam ai waiz

Siraj Aurangabadi

;

amal sen mai-paraston ke tujhe kya kaam ai waiz
sharab-e-shauq ka tu ne piya nin jam ai waiz

lagega sang-e-KHajlat shisha-e-namus par tere
abas hum be-gunahon kun na kar bad-nam ai waiz

nahin hai imtiyaz-e-nek-o-bad chashm-e-haqiqat mein
mujhe yaksan hua hai kufr aur islam ai waiz

niyaz-e-be-KHudi behtar namaz-e-KHud-numai sen
na kar hum puKHta-maghzon sen KHayal-e-KHam ai waiz

kalam-e-nuqta-e-ilm muKHtasar hai sab maani ka
bayan-e-mantiq-e-darsi kun nin anjam ai waiz

wo shirin-lab ki kaDwe bol amrit hain mere haq mein
tujhe malum kya hai lazzat-e-dushnam ai waiz

'siraj' us kaba-e-jaan ke tasawwur kun kiya sumran
yahi wird-e-sahar hai aur dua-e-sham ai waiz