altaf bayan hon kab hum se ai jaan tumhaari surat ke
hain lakhon apni aankhon par ehsan tumhaari surat ke
munh dekhe ki ye baat nahin sach puchho to ab duniya mein
behosh kare hain pariyon ko insan tumhaari surat ke
aaina-ruKHon ki mahfil mein jis waqt ayan tum hote ho
sab aaina san rah jate hain hairan tumhaari surat ke
kuchh kahne par mauquf nahin malum abhi ho jawega
KHurshid muqabil ho dekhe ek aan tumhaari surat ke
ki arz 'nazir' ek bose ki jab hans kar chanchal bola yun
is munh se bosa lijiyega qurban tumhaari surat ke
Ghazal
Altaf bayan hon kab humse ai jaan tumhaari surat ke
Nazeer Akbarabadi