allah re is gulshan-e-ijad ka aalam
jo said ka aalam wahi sayyaad ka aalam
uf rang-e-ruKH-e-bani-e-bedad ka aalam
jaise kisi mazlum ki fariyaad ka aalam
pahron se dhaDakne ki bhi aati nahin aawaz
kya jaaniye kya hai dil-e-nashad ka aalam
mansur to sar de ke subuk ho gaya lekin
jallad se puchhe koi jallad ka aalam
main aur tere hijr-e-musalsal ki shikayat
tera hi to aalam hai teri yaad ka aalam
kya jaaniye kya hai meri meraj-e-maqami
aalam to hai sirf ek meri uftad ka aalam
arbab-e-chaman se nahin puchho ye chaman se
kahte hain kise nikhat-e-barbaad ka aalam
kyun aatish-e-gul mere nasheman ko jalae
tinkon mein hai KHud barq-e-chaman-zad ka aalam
Ghazal
Allah re is gulshan-e-ijad ka aalam
Jigar Moradabadi