اردو हिंदी
Allah nazar koi Thikana nahin aata | Shaahi Shayari
allah nazar koi Thikana nahin aata

Ghazal

Allah nazar koi Thikana nahin aata

Aal-e-Raza Raza

;

allah nazar koi Thikana nahin aata
aane ko chale aate hain jaana nahin aata

kah dun to maze par ye fasana nahin aata
Thahrun to palaT kar ye zamana nahin aata

yun roz hua karte the be-saKHta chakkar
ab aaj bulaya hai to jaana nahin aata

tadbir si tadbir duaon si duaen
sab aata hai taqdir banana nahin aata