اردو हिंदी
Allah ke bhi ghar se hai ku-e-butan aziz | Shaahi Shayari
allah ke bhi ghar se hai ku-e-butan aziz

Ghazal

Allah ke bhi ghar se hai ku-e-butan aziz

Rind Lakhnavi

;

allah ke bhi ghar se hai ku-e-butan aziz
kabe se bhi ziyaada hai hindostan aziz

ye musht-e-KHak ho kahin maqbul-e-bargah
miTTi hamari kar bhi chuke aasman aziz

shikwe ki ja-e-ghair se baqi nahin rahi
dushman se bhi ziyaada hain KHuban-e-jaan aziz

hasti adam se lai hai kis mulk-e-ghair mein
koi na aashna hai hamara na yan aziz

ai 'rind' apne ahd mein qadr-e-suKHan nahin
har asr mein wagarna the ahl-e-zaban aziz