allah de sake to de aisi zaban mujhe
apna samajh ke dil se laga le jahan mujhe
sehn-e-chaman se jab bhi uTha hai dhuan kabhi
yaad aa ke rah gaya hai mera aashiyan mujhe
KHar-e-nafas ne mujh ko na sone diya kabhi
ek umr maut deti rahi loriyan mujhe
main ek charagh lakh charaghon mein baT gaya
rakkha jo aainon ne kabhi darmiyan mujhe
main aane wale qafile ka mir ban gaya
chhoDa tha sathiyon ne pas-e-karwan mujhe
har mauj se ulajhti hui khelti hui
sahil pe lai kashti-e-umr-e-rawan mujhe
'simab' dasht-e-zist se main kya karun gila
baKHshi hain bastiyon ne bhi viraniyan mujhe
Ghazal
Allah de sake to de aisi zaban mujhe
Seemab Sultanpuri