اردو हिंदी
Allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin | Shaahi Shayari
allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin

Ghazal

Allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin

Jigar Moradabadi

;

allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin
faizan-e-mohabbat aam sahi irfan-e-mohabbat aam nahin

ye tu ne kaha kya ai nadan fayyazi-e-qudrat aam nahin
tu fikr o nazar to paida kar kya chiz hai jo inam nahin

ya-rab ye maqam-e-ishq hai kya go dida-o-dil nakaam nahin
taskin hai aur taskin nahin aaram hai aur aaram nahin

kyun mast-e-sharab-e-aish-o-tarab taklif-e-tawajjoh farmaen
aawaz-e-shikast-e-dil hi to hai aawaz-e-shikast-e-jam nahin

aana hai jo bazm-e-jaanan mein pindar-e-KHudi ko toD ke aa
ai hosh-o-KHirad ke diwane yan hosh-o-KHirad ka kaam nahin

zahid ne kuchh is andaz se pi saqi ki nigahen paDne lagin
mai-kash yahi ab tak samjhe the shaista daur-e-jam nahin

ishq aur gawara KHud kar le be-shart shikast-e-fash apni
dil ki bhi kuchh un ke sazish hai tanha ye nazar ka kaam nahin

sab jis ko asiri kahte hain wo to hai amiri hi lekin
wo kaun si aazadi hai yahan jo aap KHud apna dam nahin