alfaz-o-maani ki karwaT jo badalte hain
pahlu mere matlab ke pahlu se nikalte hain
shakl aur badalti hai jab shakl badalte hain
hum surat-e-ashk aksar be-panw bhi chalte hain
kuchh zor nahin chalta jab zor nahin chalta
wo dil ki tarah mere qabu se nikalte hain
fasl aai hai ye kaisi kis josh pe hai masti
bu dete hain gul mai ki hum itr jo malte hain
Ghazal
Alfaz-o-maani ki karwaT jo badalte hain
Naseem Dehlvi