alfaz na de paen agar sath bayan ka
aankhon se bhi le lete hain wo kaam zaban ka
qatil ki jabin par hain pasine ki lakiren
shayad ki asar hai ye meri aah-o-fughan ka
aangan hai na DewDhi na chameli ka wo manDwa
shahron ne badal Dala hai mafhum makan ka
aae ho to kuchh der Thahar jao yahan bhi
hum bhi to maza len zara rangin saman ka
ye soch ke wade pe yaqin hum ne kiya hai
kuchh pas to rakkhoge meri jaan zaban ka
is tarz-e-taKHatub se 'atiq' un ko laga hai
jaise ki kabhi tha hi nahin main to yahan ka
Ghazal
Alfaz na de paen agar sath bayan ka
Ateeq Muzaffarpuri