اردو हिंदी
Alfaz ke patthar kya phenke gae pani mein | Shaahi Shayari
alfaz ke patthar kya phenke gae pani mein

Ghazal

Alfaz ke patthar kya phenke gae pani mein

Arif Ansari

;

alfaz ke patthar kya phenke gae pani mein
tufan sa barpa hai dariya-e-maani mein

KHushiyon ke fasane hi dohrae nahin jate
hain ranj ke chhinTe bhi ghar ghar ki kahani mein

jadu hi ghazab ka tha aks-e-ruKH-e-zeba ka
kyun aag na lag jati bahte hue pani mein

donon hi qabilon ne paiman-e-wafa bandhe
lauT aai wafa phir se har dushman-e-jaani mein

tarsil tamaddun ki hoti bhi to phir kaise
aKHlaq na hota gar tahzib ke bani mein

misre pe tere 'arif' misra jo hua chaspan
KHushbu si utar aai har ula-o-sani mein