alam maal agar hai to phir KHushi kya hai
koi saza hai gunahon ki zindagi kya hai
hamein wo yun bhi bil-aKHir miTaenge yun bhi
sitam ke baad karam bhi to hai abhi kya hai
nizam-e-bazm-e-do-alam hai intishaar-agin
nigah-e-dost mein aasar-e-barhami kya hai
kisi maqam pe bhi mutmain nahin nazren
ziyan hai zauq-e-tajassus ka aagahi kya hai
namaz-e-ishq jo shamil nahin ibaadat mein
fareb-e-kufr sarasar hai bandagi kya hai
badal gai na agar baghban ki niyyat hi
chaman ka rang badalne mein der hi kya hai
guzar gai hai shab-e-gham yaqin nahin aata
sahar numud nahin hai to raushni kya hai
mata-e-husn-e-do-alam se bhi siwa kahiye
qamar-jamal hai taswir aap ki kya hai
jo sehr-e-husn ki tasir ka nahin qail
teri nazar se wo puchhe ki sahiri kya hai
kisi ka husn kahan apna zauq-e-did kahan
kisi ke jalwon se nazron ki hamsari kya hai
qadam qadam pe diya hai fareb rahbar ne
jo rahbari use kahiye to rahzani kya hai
hamare dil pe uchaTti nazar hi Dal kahin
tujhe KHabar to chale soz-e-ashiqi kya hai
hamin ne dil mein jagah di hamein pe mashq-e-sitam
ye dosti hai to ai dost dushmani kya hai
bahaar aai hai ab aap bhi chale aaen
bahaar ko bhi KHabar ho shaguftagi kya hai
wafa ka nam baDa ho to ho 'rishi' warna
jafa-e-dost mein bhi lutf ki kami kya hai
Ghazal
Alam maal agar hai to phir KHushi kya hai
Rishi Patialvi