alag hain hum ki juda apni rah-guzar mein hain
wagarna log to sare isi safar mein hain
hamari jast ne mazul kar diya hum ko
hum apni wusaton mein apne baam o dar mein hain
yahan se un ke guzarne ka ek mausam hai
ye log rahte magar kaun se nagar mein hain
jo dar-ba-dar ho wo kaise sambhaal sakta hai
teri amanaten jitni hain mere ghar mein hain
ajib tarah ka rishta hai paniyon se 'malal'
juda juda sahi sab ek hi bhanwar mein hain
Ghazal
Alag hain hum ki juda apni rah-guzar mein hain
Sagheer Malal