aksar baiThe tanhai ki zulfen hum suljhate hain
KHud se ek kahani kah kar pahron ji bahlate hain
dil mein ek virana le kar gulshan gulshan jate hain
aas laga kar hum phulon se kya kya KHak uDate hain
miThi miThi ek kasak hai bhini bhini ek mahak
dil mein chhaale phuT rahe hain phul se khilte jate hain
baadal goya dil wale hain Thes lagi aur phuT bahe
tufan bhi ban jate hain ye moti bhi barsate hain
hum bhi hain us des ke basi lekin hum ko puchhe kaun
wo bhi hain jo teri gali ke nam se rutba pate hain
kanTe to phir kanTe Thahre kis ko honge un se gale
lekin ye masum shagufe kya kya gul ye khilate hain
uljhe uljhe se kuchh fiqre kuchh be-rabti lafzon ki
khul kar baat kahan karte hain 'baqar' baat banate hain
Ghazal
Aksar baiThe tanhai ki zulfen hum suljhate hain
Sajjad Baqar Rizvi