aks zaKHmon ka jabin par nahin aane deta
main KHarash apne yaqin par nahin aane deta
is liye main ne KHata ki thi ki duniya dekhun
warna wo mujh ko zamin par nahin aane deta
umr bhar sinchte rahne ki saza pai hai
peD ab chhanw hamin par nahin aane deta
jhuT bhi sach ki tarah bolna aata hai use
koi luknat bhi kahin par nahin aane deta
apne is ahd ka insaf hai taqat ka ghulam
aanch bhi kursi-nashin par nahin aane deta
chahta hun ki use pujna chhoDun lekin
kufr jo KHun mein hai din par nahin aane deta
Ghazal
Aks zaKHmon ka jabin par nahin aane deta
Zafar Sahbai