aks ubhra na tha aaina-e-dil-dari ka
hijr ne khinch diya daera zangari ka
naz karta tha tawalat pe ki waqt-e-ruKHsat
bhed sae pe khula sham ki ayyari ka
jis qadar KHarch kiye sans hui arzani
nirKH girta gaya rasm-o-rah-e-bazari ka
raat ne KHwab se wabasta rifaqat ke ewaz
rasta band rakha din ki numudari ka
aisa viran hua hai ki KHizan roti hai
kal bahut shor tha jis bagh mein gul-kari ka
be-sabab jama to karta nahin tir o tarkash
kuchh hadaf hoga zamane ki sitamgari ka
pa-ba-zanjir kiya tha mujhe aasani ne
marhala ho na saka tai kabhi dushwari ka
mutmain dil hai ajab bhiD se gham-KHwaron ki
silsila tul pakaD le na ye bimari ka
Ghazal
Aks ubhra na tha aaina-e-dil-dari ka
Ejaz Gul