aks TuTa hai barha mera
sang-e-KHara hai aaina mera
sari duniya meri muKHalif hai
ek bachcha hai ham-nawa mera
tez barish ka main parinda hun
baadalon mein hai ghonsla mera
ghar mein mehman hui hai tanhai
bhar gaya hai bar-amda mera
do charaghon se raat raushan hai
ek tera hai dusra mera
upar upar se Thik lagta hai
zaKHm andar se hai hara mera
puchh lena kisi parinde se
sab ko malum hai pata mera
meri tarkib mein hai sachchai
kaun chakkhega zaiqa mera
kone-khudre bhi KHub raushan hain
hujra-e-zat hai khula mera
hone lagti hai baat jab KHud se
TuT jata hai rabta mera
kisi manzil ki yaad aate hi
chalne lagta hai naqsh-e-pa mera
ek parkar ke simaTte hi
phail jata hai daera mera
ek Thokar se TuT jaega
jism-e-fani hai bhurbhura mera
tum zaminon ko napte rahna
kaenati hai fasla mera
thak ke wapas chala gaya 'nasir'
ain manzil se rasta mera
Ghazal
Aks TuTa hai barha mera
Naseer Ahmad Nasir