aks par yun aankh Dali jaegi
samne ki choT KHali jaegi
ye qayamat bhi nikali jaegi
us gali se kha ke gali jaegi
kabe mein botal khule mauqa kahan
zamzami se aaj Dhaali jaegi
gul to kya hain ta-qafas ai baad-e-tund
patta patta Dali Dali jaegi
bazm-e-saqi mein agar laghzish hui
hath se mai ki pyali jaegi
gudgudane ko kaf-e-pa dil ke sath
aarzu-e-paemali jaegi
wa dar-e-tauba hai to jaldi hai kya
baat bigDi kuchh bana li jaegi
murda koi aarzu is dil mein hai
kah gae wo jaan Dali jaegi
mai-kade hum ghar se jaenge 'riyaz'
ek botal sath KHali jaegi
Ghazal
Aks par yun aankh Dali jaegi
Riyaz Khairabadi