aks pani mein agar qaid kiya ja sakta
ain-mumkin tha main us shaKHs ko apna sakta
kash kuchh der na palkon pe Thaharti shabnam
main use sabr ka mafhum to samjha sakta
be-sahaara koi milta hai to dukh hota hai
main bhi kya hun ki kisi kaam nahin aa sakta
kitni be-sud judai hai ki dukh bhi na mila
koi dhoka hi wo deta ki main pachhta sakta
ruThne wale ki aankhen bhi to pur-nam thin 'zafar'
mujh se be-ashk bhala kaise raha ja sakta
Ghazal
Aks pani mein agar qaid kiya ja sakta
Sabir Zafar