aks ne aaine ka ghar chhoDa
ek sauda tha jis ne sar chhoDa
bhagte manzaron ne aankhon mein
jism ko sirf aankh bhar chhoDa
har taraf raushni si phail gai
sanp ne jab kabhi khanDar chhoDa
dhul uDti hai dhup baiThi hai
os ne aansuon ka ghar chhoDa
khiDkiyan piTti hain sar shab bhar
aaKHiri fard ne bhi ghar chhoDa
kya karoge 'nizam' raaton mein
zaKHm ki yaad ne agar chhoDa
Ghazal
Aks ne aaine ka ghar chhoDa
Sheen Kaaf Nizam