aks manzar mein palaTne ke liye hota hai
aaina gard se aTne ke liye hota hai
sham hoti hai to hota hai mera dil betab
aur ye tujh se lipaTne ke liye hota hai
ye jo hum dekh rahe hain kai duniyaon ko
aisa phailao simaTne ke liye hota hai
ilm jitna bhi ho kam paDta hai insanon ko
rizq jitna bhi ho baTne ke liye hota hai
sae ko shamil-e-qamat na karo aaKHir-e-kar
baDh bhi jae to ye ghaTne ke liye hota hai
goya duniya ki zarurat nahin durweshon ko
yani kashkol ulaTne ke liye hota hai
matl-e-subh-e-numu saf to hoga 'azar'
abr chhaya hua chhaTne ke liye hota hai
Ghazal
Aks manzar mein palaTne ke liye hota hai
Dilawar Ali Aazar