aks kya dida-e-tar mein dekha
hum ne dariya ko bhanwar mein dekha
sar-e-manzil koi manzil na mili
ek safar aur safar mein dekha
nazar aaya kabhi bazar mein ghar
kabhi rasta koi ghar mein dekha
suraKH-ru jang se lauT aaya tha
KHun mein lat-pat jise ghar mein dekha
jaane kab aa ke yahan baiThe the
apna saya bhi shajar mein dekha
ab bhi chipka hai meri aankhon mein
jo dhuan shama sahar mein dekha
aag kis des lagi hai ab ke
phir dhuan apne nagar mein dekha
ek hi jast mein hum ne 'hamdam'
fasla dasht se dar mein dekha
Ghazal
Aks kya dida-e-tar mein dekha
Hamdam Kashmiri