اردو हिंदी
Aks kuchh na badlega aainon ko dhone se | Shaahi Shayari
aks kuchh na badlega aainon ko dhone se

Ghazal

Aks kuchh na badlega aainon ko dhone se

Farhan Salim

;

aks kuchh na badlega aainon ko dhone se
aazari nahin aati pattharon pe rone se

masala na suljhega pyas bujh na paegi
be-hisi ke saghar mein aap ko Dubone se

toD do haden sari ye bhi tajraba kar lo
zat aur simTegi be-hijab hone se

lab pe zom-e-mai-KHwari aur qadam bahakte hain
sirf kasa-e-mai mein ungliyan Dubone se

har sadaf ke sine mein gir raha hai ek moti
dard-o-gham ke maron ki kashtiyan Dubone se

zaKHm roz ek taza de diya karo warna
be-dili si rahti hai dard ke na hone se

har lahu fughan dega har diya dhuan dega
dagh miT nahin sakte damanon ko dhone se

kaun si wo aatish thi mere KHun mein 'salim'
hath jal gae us ke ungliyan Dubone se