aks koi kisi manzar mein na tha
koi bhi chehra kisi dar mein na tha
subh ek bund ghaTaon mein na thi
chand bhi shab ko samundar mein na tha
koi jhankar rag-e-gul mein na thi
KHwab koi kisi patthar mein na tha
shama raushan kisi khiDki mein na thi
muntazir koi kisi ghar mein na tha
koi wahshat bhi mere dil mein na thi
koi sauda bhi mere sar mein na tha
thi na lazzat suKHan-e-awwal mein
zaiqa harf-e-mukarrar mein na tha
pyas ki dhund bhi honTon pe na thi
os ka qatra bhi saghar mein na tha
Ghazal
Aks koi kisi manzar mein na tha
Rajinder Manchanda Bani

