aks kis chiz ka aaina-e-hairat mein nahin 
teri surat mein hai kya jo meri surat mein nahin 
donon aalam teri nairang adai ke nisar 
ab koi chiz yahan jeb-e-mohabbat mein nahin 
daulat-e-qurb ko KHasan-e-mohabbat jaanen 
chand ashkon ke siwa kuchh meri qismat mein nahin 
log marte bhi hain jite bhi hain betab bhi hain 
kaun sa sehr teri chashm-e-inayat mein nahin 
sab se ek tarz juda sab se ek aahang juda 
rang mahfil mein tera jo hai wo KHalwat mein nahin 
nashsha-e-ishq mein har chiz uDi jati hai 
kaun zarra hai ki sarshaar mohabbat mein nahin 
dawa-e-did ghalat dawa-e-irfan bhi ghalat 
kuchh tajalli ke siwa chashm-e-basirat mein nahin 
ho gai jama mata-e-gham-e-hirman kyunkar 
main samajhta tha koi parda-e-ghaflat mein nahin 
zarre zarre mein kiya josh-e-tarannum paida 
KHud magar koi nawa saz-e-mohabbat mein nahin 
najd ki samt se ye shor-e-ana-laila kyun 
shoKHi-e-husn agar parda-e-wahshat mein nahin
        Ghazal
Aks kis chiz ka aaina-e-hairat mein nahin
Asghar Gondvi

