aks ki surat dikha kar aap ka sani mujhe
sath apne le gaya bahta hua pani mujhe
main badan ko dard ke malbus pahnata raha
ruh tak phaili hui milti hai uryani mujhe
is tarah qaht-e-hawa ki zad mein hai mera wajud
aandhiyan pahchan leti hain ba-asani mujhe
baDh gaya is rut mein shayad nikhaton ka e'tibar
din ke aangan mein lubhae raat ki rani mujhe
munjamid sajdon ki yaKH-basta munajaton ki KHair
aag ke nazdik le aai hai peshani mujhe
Ghazal
Aks ki surat dikha kar aap ka sani mujhe
Ghulam Mohammad Qasir