aks ki kahani ka iqtibas hum hi the
aaine ke bahar bhi aas-pas hum hi the
jab shuur-e-insani rabte ka pyasa tha
harf-o-saut ilm-o-fan ki asas hum hi the
faslon ne lamhon ko muntashir kiya to phir
etibar-e-hasti ki ek aas hum hi the
muqtadir mohabbat ki shikwa-sanj mahfil mein
KHamushi ko apnae pur-sipas hum hi the
KHwab ko haqiqat ka rup koi kya deta
munakis tasawwur ka inikas hum hi the
Ghazal
Aks ki kahani ka iqtibas hum hi the
Ghalib Irfan