aks har tarah ke KHush ho ke hamein pine hain
hum bhi diwaron pe laTke hue aaine hain
tairti kai ke TukDe ye sada dete the
chaak nadiyon ke gareban hamein sine hain
kha gai un ko bhi aaKHir mere mahaul ki dhup
jalti shaKHon se bhi kuchh sae agar chhine hain
siDhiyan dil ke taqazon ki chaDhoge kab tak
jin ka aaKHir nahin hai ye wahi zine hain
kya KHabar thi ki ujale nahin denge 'nudrat'
wo sitare jo andheron ke liye chhine hain
Ghazal
Aks har tarah ke KHush ho ke hamein pine hain
Nudrat Nawaz