aks hairan hai aaina kaun hai
wo hai KHushbu to phir phul sa kaun hai
dil se nikle ho palkon pe dam lo zara
ho musafir tumhein rokta kaun hai
ek samundar ne KHud ko jazira kiya
kya hua kyun hua puchhta kaun hai
ghair-abaad hai wo gali wo makan
us dariche se phir jhankta kaun hai
zindagi hadse ke siwa kuchh nahin
hadse par magar sochta kaun hai
zindagi mein agar hain andhere 'salim'
teri ghazlon mein phir chand sa kaun hai

Ghazal
Aks hairan hai aaina kaun hai
Saleem Muhiuddin