اردو हिंदी
Aks hai aaina-e-dahr mein surat meri | Shaahi Shayari
aks hai aaina-e-dahr mein surat meri

Ghazal

Aks hai aaina-e-dahr mein surat meri

Jaleel Manikpuri

;

aks hai aaina-e-dahr mein surat meri
kuchh haqiqat nahin itni hai haqiqat meri

dekhta main use kyunkar ki naqab uThte hi
ban ke diwar khaDi ho gai hairat meri

roz wo KHwab mein aate hain gale milne ko
main jo sota hun to jag uThti hai qismat meri

sach hai ehsan ka bhi bojh bahut hota hai
chaar phulon se dabi jati hai turbat meri

aaine se unhen kuchh uns nahin baat ye hai
chahte hain koi dekha kare surat meri

main ye samjhun koi mashuq mere hath aaya
mere qabu mein jo aa jae tabiat meri

bu-e-gesu ne shagufa ye naya chhoDa hai
nikhat-e-gul se ulajhti hai tabiat meri

un se izhaar-e-mohabbat jo koi karta hai
dur se us ko dikha dete hain turbat meri

jate jate wo yahi kar gae takid 'jalil'
dil mein rakhiyega hifazat se mohabbat meri