aks ghaTte baDhte hain shishagari hai ek si
soch ke adse juda hain raushni hai ek si
zindagi karte hain insan muKHtalif andaz mein
go ki sab ki dastaras mein zindagi hai ek si
doston aur dushmanon mein kis tarah tafriq ho
doston aur dushmanon ki be-ruKHi hai ek si
soch ka mafluj hona sanehe se kam nahin
an-ginat shaer hain lekin shaeri hai ek si
sab dilon mein ja-guzin hain gham ke qisse ek se
sab jabinon par raqam be-raunaqi hai ek si
'jaan' ye sabit hua hai tajrabe ki aanch par
dushmani hai sau tarah ki dosti hai ek si
Ghazal
Aks ghaTte baDhte hain shishagari hai ek si
Jan Kashmiri