aks-e-zanjir pe jaan dene ke pahlu dunga
kuchh saza tujh ko bhi ai shahid-e-gesu dunga
apne ghar se tujhe jaane nahin dunga KHali
mujh ko hire nahin hasil hain to jugnu dunga
zindagi tujh se ye samjhauta kiya hai main ne
beDiyan tu mujhe de main tujhe ghunghru dunga
mujh ko duniya ki tijarat mein yahi hath aaya
main ne aansu hi kamae tujhe aansu dunga
main hun dariya mujhe KHidmat mein lage rahna hai
main agar sukh bhi jaunga to baalu dunga
main to ek peD hun chandan ka mujhe jism na jaan
tu mujhe qatl bhi kar dega to KHushbu dunga
pahle kuchh banT usulon ke bana lo 'tasnim'
jis mein kirdar tulen main wo taraazu dunga
Ghazal
Aks-e-zanjir pe jaan dene ke pahlu dunga
Tasneem Faruqi