اردو हिंदी
Aks-e-ruKH-e-gulgun se tamasha nazar aaya | Shaahi Shayari
aks-e-ruKH-e-gulgun se tamasha nazar aaya

Ghazal

Aks-e-ruKH-e-gulgun se tamasha nazar aaya

Muneer Shikohabadi

;

aks-e-ruKH-e-gulgun se tamasha nazar aaya
aaina unhin phulon ka duna nazar aaya

KHubi mein do-baala wo sarapa nazar aaya
pur-nur badan paikar-e-jauza nazar aaya

dil KHush guhron ka hamein sahra nazar aaya
kya gard-e-yatimi ka bagula nazar aaya

nairangi-e-hairat se rawan rahte hain aansu
taswir ka dariya hamein bahta nazar aaya

nikla jo hawa-war mein wo rashk-e-sulaiman
uDta su-e-aflak farishta nazar aaya

baalida hai har shisha-e-mai ab ki yahan tak
ek ek falak pamba-e-mina nazar aaya

KHilat mujhe wahshat ne diya wusat-e-dil ka
jame mein mere daman-e-sahra nazar aaya

nazron mein ye chhaya hai ghubar-e-dil-e-wahshi
har aankh mein aansu mujhe Dhela nazar aaya

wo aaina-sima hai dil-e-saKHt-adu mein
botal mein utarte hue shisha nazar aaya

aashiq tere palkon ka hua zinda-e-jawed
suli ka KHaridar masiha nazar aaya

zahid ne bhi aqd aaj kiya bint-e-inab se
juft-e-bat-e-mai murgh-e-musalla nazar aaya

bargashta-nasibi-e-sadaf-e-dil ki kahun kya
moti ke ewaz is mein phaphula nazar aaya

aaina-e-geti mein wahi aks hai har su
hum ne jidhar us shoKH ko dekha nazar aaya

karte ho mere paikar-e-wahmi ko nishana
nawak mein tumhaare par-e-anqa nazar aaya

us but ke nahane se hua saf ye pani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariya nazar aaya

us hur ki rangat uDi rone se hamare
rang-e-gul-e-firdaus bhi kachcha nazar aaya

shisha mai-e-gulgun ka unhen madd-e-nazar hai
tegh-e-nigah-e-mast mein chhaala nazar aaya

ho jaenge sab koh-e-jahan sang-e-falaKHan
wahshat mein jo aalam tah-o-baala nazar aaya

shamen jo bujhin bazm-e-tilismat ko dekha
aankhen jo huin band to kya kya nazar aaya

kyun KHush na ho til baiTh ke mizan-e-falak mein
mauzun-e-qad-e-yar ka palla nazar aaya

mil mil gae hain KHak mein lakhon dil-e-raushan
har zarra mujhe arsh ka tara nazar aaya

aankhon mein khaTakti hai yahi daulat-e-duniya
har sikke ki machhli mein bhi kanTa nazar aaya

hai bud-e-jahan naqsh sar-e-ab nazar mein
ye khel hamein ban ke bigaDta nazar aaya

hairat-kada-e-dahr hua mujh se mukaddar
aaina-e-ijad mein dhabba nazar aaya

KHush aate nahin dant kisi hur ke mujh ko
chaak-e-gul-e-firdaus mein baKHiya nazar aaya

muddat se nazar-doKHta rahte hain giraftar
gesu ki bhi zanjir mein Tanka nazar aaya

champa-kali us mast-e-mai-e-husn ki dekhi
gardan ki surahi ka ye mina nazar aaya

madfun hua zer-e-zamin aap ka laghar
chashm-e-lahad-e-tang mein jala nazar aaya

kalkatta mein har dam hai 'munir' aap ko wahshat
har koThi mein har bangle mein jangla nazar aaya